salam logo
salām ai dil-figār logo
salām ai ashk-bār logo
tumhī ne apnā vatan bachāyā
tumhī ne bātil kā sar jhukāyā
bujhā ke sham-e-hayāt apnī
vafā kī rāhoñ ko jagmagāyā
magar ye dil ro ke kah rahā hai
lahū tumhārā na rañg laayā
vahī hai shab kā hisār logo
salām ai ashk-bār logo
guloñ kī vaadī lahū lahū hai
fuġhāñ kī āvāz chār-sū hai
haiñ is qadar tishna-kām mai-kash
har ek lab par subū subū hai
nishān-e-manzil hai khoyā khoyā
luTā luTā shahr-e-ārzū hai
bujhe bujhe haiñ dayār logo
salām ai ashk-bār logo
tumhāre dam se harī zamīneñ
ḳhushī se dāman-bharī mashīneñ
haiñ us ke bā-vasf bhīgī bhīgī
tumhārī ashkoñ se āstīneñ
maiñ sochtā huuñ raheñgī kab tak
sitam ke aage jhukī jabīneñ
uThāo sar sogvār logo
salām ai ashk-bār logo
salam ai dil-figar logo
salam ai ashk-bar logo
tumhi ne apna watan bachaya
tumhi ne baatil ka sar jhukaya
bujha ke sham-e-hayat apni
wafa ki rahon ko jagmagaya
magar ye dil ro ke kah raha hai
lahu tumhaara na rang laya
wahi hai shab ka hisar logo
salam ai ashk-bar logo
gulon ki wadi lahu lahu hai
fughan ki aawaz chaar-su hai
hain is qadar tishna-kaam mai-kash
har ek lab par subu subu hai
nishan-e-manzil hai khoya khoya
luTa luTa shahr-e-arzu hai
bujhe bujhe hain dayar logo
salam ai ashk-bar logo
tumhaare dam se hari zaminen
KHushi se daman-bhari mashinen
hain us ke ba-wasf bhigi bhigi
tumhaari ashkon se aastinen
main sochta hun rahengi kab tak
sitam ke aage jhuki jabinen
uThao sar sogwar logo
salam ai ashk-bar logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.