salam
mere āzād vatan terī bahāroñ ko salām
terī pur-kaif fazā tere nazāroñ ko salām
jin kī ḳhidmāt se chamkī hai vatan kī qismat
jagmagāte hue un chāñd sitāroñ ko salām
kārvāñ jin kā luTā raah meñ āzādī kī
qaum kā mulk kā un dard ke māroñ ko salām
likh ga.e apne lahū se jo vafā ke qisse
un shahīdoñ pe darūd un ke mazāroñ ko salām
'tāhira' sālgirah aaj hai āzādī kī
hind ke ḳhurd-o-kalāñ sāthiyoñ pyāroñ ko salām
mere aazad watan teri bahaaron ko salam
teri pur-kaif faza tere nazaron ko salam
jin ki KHidmat se chamki hai watan ki qismat
jagmagate hue un chand sitaron ko salam
karwan jin ka luTa rah mein aazadi ki
qaum ka mulk ka un dard ke maron ko salam
likh gae apne lahu se jo wafa ke qisse
un shahidon pe darud un ke mazaron ko salam
'tahira' salgirah aaj hai aazadi ki
hind ke KHurd-o-kalan sathiyon pyaron ko salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.