salamti
habīb tū hai samī'-ul-'alīm bhī tū hai
aziim tū hai rahīm-o-karīm bhī tū hai
havā.eñ terī haiñ lail-o-nahār tere haiñ
pahāḌ dasht ye sab ābshār tere haiñ
hai tū hī qādir-e-mutlaq jahān tere haiñ
zamīn terī hai aur āsmān tere haiñ
tire karam kī koī intihā nahīñ maulā
tire nizām meñ sab kuchh hai kyā nahīñ maulā
tire huzūr meñ haiñ nazr mere dil ke sujūd
magar ye ruḳh bhī to hai kā.enāt kā ma.abūd
ye kā.enāt jo taḳhlīq-e-zāt hai terī
azal se is ke muqaddar meñ intishār hai kyoñ
zamīñ pe aa.e the aadam tirī mashiyyat se
jo terī bazm se rusvā.iyāñ bhī laa.e the
tirī bahisht meñ dil apnā chhoḌ aa.e the
udāsiyoñ kā abhī tak vo hī hisār hai kyoñ
ye kā.enāt to taḳhlīq-e-zāt hai terī
ye kā.enāt tirī shān-e-kibriyā.ī hai
agar banāyā hai is ko to rakh ise mahfūz
ye roz roz fasādāt kyoñ ubharte haiñ
tire hī bande haiñ jo be-gunāh marte haiñ
ġhurūr-e-mohtasib-o-sheher-dār hai har-sū
fasād bhī to tire naam par hī hote haiñ
harīm-e-dil ke dar-o-bām hil rahe haiñ bahut
tire hī naam se sangīniyāñ ubhar aa.iiñ
vo dekh tere hī ghar kī taraf hai ruḳh un kā
jidhar nigāh uThī nafrateñ nazar aa.iiñ
qalandaroñ ke maqābir pe ḳhaak uḌtī hai
munāfiqat ke añdheroñ kā bol-bālā hai
tire faqīhoñ ne hākim se dostī kar lī
salāmtī meñ haram hai na ab shivāla hai
vo dekh jānib-e-mehrāb phir huī yūrish
vo ek sar hai jo neze pe rakkhā jaatā hai
kisī kā ḳhushk galā hai kisī kā ḳhanjar hai
jo sar uThā.ūñ to āñkhoñ meñ ḳhuun aatā hai
jamāl-e-hastī-e-nau-e-bashar hai ḳhatre meñ
ye kā.enāt tirī shān-e-kibriyā.ī hai
munāfiqoñ se bachā le hasīn chehroñ ko
jo dil kī baat thī merī zabāñ tak aa.ī hai
tirī sifāt pe sajde hazār kartā huuñ
maiñ ab zabān na kholūñgā tujh se Dartā huuñ
habib tu hai sami'-ul-'alim bhi tu hai
azim tu hai rahim-o-karim bhi tu hai
hawaen teri hain lail-o-nahaar tere hain
pahaD dasht ye sab aabshaar tere hain
hai tu hi qadir-e-mutlaq jahan tere hain
zamin teri hai aur aasman tere hain
tere karam ki koi intiha nahin maula
tere nizam mein sab kuchh hai kya nahin maula
tere huzur mein hain nazr mere dil ke sujud
magar ye ruKH bhi to hai kaenat ka mabud
ye kaenat jo taKHliq-e-zat hai teri
azal se is ke muqaddar mein intishaar hai kyon
zamin pe aae the aadam teri mashiyyat se
jo teri bazm se ruswaiyan bhi lae the
teri bahisht mein dil apna chhoD aae the
udasiyon ka abhi tak wo hi hisar hai kyon
ye kaenat to taKHliq-e-zat hai teri
ye kaenat teri shan-e-kibriyai hai
agar banaya hai is ko to rakh ise mahfuz
ye roz roz fasadat kyon ubharte hain
tere hi bande hain jo be-gunah marte hain
ghurur-e-mohtasib-o-sheher-dar hai har-su
fasad bhi to tere nam par hi hote hain
harim-e-dil ke dar-o-baam hil rahe hain bahut
tere hi nam se sanginiyan ubhar aain
wo dekh tere hi ghar ki taraf hai ruKH un ka
jidhar nigah uThi nafraten nazar aain
qalandaron ke maqabir pe KHak uDti hai
munafiqat ke andheron ka bol-baala hai
tere faqihon ne hakim se dosti kar li
salamti mein haram hai na ab shiwala hai
wo dekh jaanib-e-mehrab phir hui yurish
wo ek sar hai jo neze pe rakkha jata hai
kisi ka KHushk gala hai kisi ka KHanjar hai
jo sar uThaun to aankhon mein KHun aata hai
jamal-e-hasti-e-nau-e-bashar hai KHatre mein
ye kaenat teri shan-e-kibriyai hai
munafiqon se bacha le hasin chehron ko
jo dil ki baat thi meri zaban tak aai hai
teri sifat pe sajde hazar karta hun
main ab zaban na kholunga tujh se Darta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.