saleT
zindagī ek saleT hai goyā
jis par vaqt kā kankhajūrā
apnī be-hadd-o-hisāb Tāñgoñ se
guzarne kī lakīreñ khīñch rahā hai
aur is chaal par
jaane kaun hai jo hañs rahā hai magar
us kī hañsī kankhajūre ko sunā.ī detī nahīñ
jis kī Tāñgoñ meñ kaan nahīñ
sirf jumbish hai
zindagi ek saleT hai goya
jis par waqt ka kankhajura
apni be-hadd-o-hisab Tangon se
guzarne ki lakiren khinch raha hai
aur is chaal par
jaane kaun hai jo hans raha hai magar
us ki hansi kankhajure ko sunai deti nahin
jis ki Tangon mein kan nahin
sirf jumbish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.