salib gir paDi
salīb gir paḌī
muhandis ne darmiyān-e-shahr bar-nasheb
jo banā.ī thī
salīb
gir paḌī
hujūm muntazir thā shaam se
ki ek siyāh-fām se
javān nā-tamām se ḳhabar milī
tamām raat kī thakī huī
badan ke bojh se jhukī huī
nasheb se uḌī huī khaḌī thī jo ġharīb
gir paḌī
hujūm muntazir thā shaam se
nasheb par kisī tarah qadam jamā.e ik hujūm muntazir thā shaam se
ki phir salīb gir paḌī
salīb gir paḌī
salib gir paDi
muhandis ne darmiyan-e-shahr bar-nasheb
jo banai thi
salib
gir paDi
hujum muntazir tha sham se
ki ek siyah-fam se
jawan na-tamam se KHabar mili
tamam raat ki thaki hui
badan ke bojh se jhuki hui
nasheb se uDi hui khaDi thi jo gharib
gir paDi
hujum muntazir tha sham se
nasheb par kisi tarah qadam jamae ek hujum muntazir tha sham se
ki phir salib gir paDi
salib gir paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.