saliben
zamāne kī raftār se tang aa kar
salībeñ uThā.e sabhī chal rahe haiñ
ġhamoñ kī salībeñ dukhoñ kī salībeñ
salībeñ uThā.e sabhī jī rahe haiñ
ki zahr-e-haqīqat sabhī pī rahe haiñ
magar haif-sad-haif saare jahāñ meñ
koī bhī kisī kā masīhā nahīñ hai
zamāne ke hālāt se kyā laḌeñge
diloñ pe jafāoñ ke koḌe paḌeñge
nigāhoñ se namnāk motī jhaḌeñge
zamāne kī raftār se tañg aa kar
salībeñ uThā.e sabhī chal rahe haiñ
magar ham meñ shauq-e-shahādat nahīñ hai
nizām-e-ġhalat se baġhāvat nahīñ hai
sadāqat kā 'rāhī' bahut duur hogā
na iisā hai koī na mansūr hogā
rivāyāt ke zahr meñ ghol kar yuuñ
lahū piine vāloñ kī ifrāt hogī
magar shaḳhsiyat kaun suqrāt hogī
ġhamoñ kī salībeñ dukhoñ kī salībeñ
salībeñ uThā.e sabhī chal rahe haiñ
zamane ki raftar se tang aa kar
saliben uThae sabhi chal rahe hain
ghamon ki saliben dukhon ki saliben
saliben uThae sabhi ji rahe hain
ki zahr-e-haqiqat sabhi pi rahe hain
magar haif-sad-haif sare jahan mein
koi bhi kisi ka masiha nahin hai
zamane ke haalat se kya laDenge
dilon pe jafaon ke koDe paDenge
nigahon se namnak moti jhaDenge
zamane ki raftar se tang aa kar
saliben uThae sabhi chal rahe hain
magar hum mein shauq-e-shahadat nahin hai
nizam-e-ghalat se baghawat nahin hai
sadaqat ka 'rahi' bahut dur hoga
na isa hai koi na mansur hoga
riwayat ke zahr mein ghol kar yun
lahu pine walon ki ifraat hogi
magar shaKHsiyat kaun suqraat hogi
ghamon ki saliben dukhon ki saliben
saliben uThae sabhi chal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.