saliqa shart hai bas
salīqa shart hai bas
agar itnā hunar bhī siikh leñ ham
ki ik ḳhargosh ko kaise uThāyā jaa.e kānoñ se pakaḌ kar
ki ik billī ke bachche ko agar ham chheḌnā chāheñ
to gardan par vahāñ chuTkī bhareñ
jahāñ se maañ use muñh meñ dabā kar ghar badaltī hai
to phir sab ko yahāñ tafrīh ke sāmāñ muhayyā haiñ
to phir chhoTā baḌā koī
shikāyat kar nahīñ saktā
khilaunoñ kī
saliqa shart hai bas
agar itna hunar bhi sikh len hum
ki ek KHargosh ko kaise uThaya jae kanon se pakaD kar
ki ek billi ke bachche ko agar hum chheDna chahen
to gardan par wahan chuTki bharen
jahan se man use munh mein daba kar ghar badalti hai
to phir sab ko yahan tafrih ke saman muhayya hain
to phir chhoTa baDa koi
shikayat kar nahin sakta
khilaunon ki
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 108)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.