salma
bahār-e-husn kā tū ġhuncha-e-shādāb hai salmā
tujhe fitrat ne apne dast-e-rañgīñ se sañvārā hai
bahisht-e-rang-o-bū kā tū sarāpā ik nazāra hai
tirī sūrat sarāsar paikar-e-mahtāb hai salmā
tirā jism ik hujūm-e-resham-o-kam-ḳhvāb hai salmā
shabistān-e-javānī kā tū ik zinda sitāra hai
tū is duniyā meñ bahr-e-husn-e-fitrat kā kināra hai
tū is sansār meñ ik āsmānī ḳhvāb hai salmā
jahān-e-quds kā tū ek firdausī fasāna hai
tujhe misr-e-jamāl-o-nāz kī ik sāhira kahiye
sanam-ābād iffat kī muqaddas kāfira kahiye
rabāb-e-husn kā tū ek ilhāmī tarāna hai
paristān-e-latāfat kī tū ik rangīñ kahānī hai
javāñ fitrat kā tū ik gum-shuda ḳhvāb-e-javānī hai
bahaar-e-husn ka tu ghuncha-e-shadab hai salma
tujhe fitrat ne apne dast-e-rangin se sanwara hai
bahisht-e-rang-o-bu ka tu sarapa ek nazara hai
teri surat sarasar paikar-e-mahtab hai salma
tera jism ek hujum-e-resham-o-kam-KHwab hai salma
shabistan-e-jawani ka tu ek zinda sitara hai
tu is duniya mein bahr-e-husn-e-fitrat ka kinara hai
tu is sansar mein ek aasmani KHwab hai salma
jahan-e-quds ka tu ek firdausi fasana hai
tujhe misr-e-jamal-o-naz ki ek sahira kahiye
sanam-abaad iffat ki muqaddas kafira kahiye
rabab-e-husn ka tu ek ilhami tarana hai
paristan-e-latafat ki tu ek rangin kahani hai
jawan fitrat ka tu ek gum-shuda KHwab-e-jawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.