samajh mein kuchh nahin aata
hameñ kis haath kī mahbūb rekhāoñ meñ rahnā thā
kis dil meñ utarnā thā
chamaknā thā kin āñkhoñ meñ
kahāñ par phuul banñā thā
to kab ḳhushbū kī sūrat kū-e-jānāñ se guzarnā thā
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
hameñ kis qarya-e-āb-o-havā ke sañg rahnā thā
kahāñ shāmeñ guzarnī thiiñ
kahāñ mahtāb rātoñ meñ kisī ko yaad karnā thā
kisī ko bhuul jaanā thā
kahāñ par sub.h kā āġhāz karnā thā kahāñ sūraj nikalnā thā
safar ke dasht meñ tanhā thake-hāre musāfir ko
kahāñ ḳhema lagānā thā
kahāñ dariyā meñ kashtī Dālnā thī aur kis sāhil utarnā thā
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
hameñ kis qarya-e-āb-o-havā ke sañg rahnā thā
hamein kis hath ki mahbub rekhaon mein rahna tha
kis dil mein utarna tha
chamakna tha kin aankhon mein
kahan par phul banna tha
to kab KHushbu ki surat ku-e-jaanan se guzarna tha
samajh mein kuchh nahin aata
hamein kis qarya-e-ab-o-hawa ke sang rahna tha
kahan shamen guzarni thin
kahan mahtab raaton mein kisi ko yaad karna tha
kisi ko bhul jaana tha
kahan par subh ka aaghaz karna tha kahan suraj nikalna tha
safar ke dasht mein tanha thake-haare musafir ko
kahan KHema lagana tha
kahan dariya mein kashti Dalna thi aur kis sahil utarna tha
samajh mein kuchh nahin aata
hamein kis qarya-e-ab-o-hawa ke sang rahna tha
- Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 223)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.