samandar ka sukut
aaj phir ghaat meñ baiThā hai samundar kā sukūt
ham ko ik dūsre se duur hī rahnā hogā
ham ko har haal meñ majbūr hī rahnā hogā
mujh ko is daur-e-jarāhat se guzar jaane de
mujh ko jiine kī tamannā nahīñ mar jaane de
merī taqdīr meñ ġham haiñ to koī baat nahīñ
mujh ko zulmat kī guphāoñ meñ utar jaane de
tū na ghabrā ki tire husn kī mish.al le kar
tere hamrāh kabhī tere bichhaune ke qarīb
raat bhar dhuum machā.egā mire jism kā bhuut
aaj phir ghaat meñ baiThā hai samundar kā sukūt
zarf baaqī na koī azm-e-nihāñ baaqī hai
sirf ehsās ke chehre pe dhuāñ baaqī hai
koī saaya hai na sāthī hai na mahfil koī
dilkashī ḳhatm hai phir kyuuñ ye jahāñ baaqī hai
ye jahāñ jis meñ sab atrāf tabāhī ke nishāñ
sūrat o shakl pe zaḳhmoñ kī tarah phaile haiñ
aur har zaḳhm hai insān kī vahshat kā subūt
aaj phir ghaat meñ baiThā hai samundar kā sukūt
talḳh tanhā.ī kā ik dard liye chehre par
le ke phirtā huuñ maiñ zaḳhmoñ ke diye chehre par
ruuh majrūh jabīñ zaḳhm-zada dil ghā.il
phir bhī hañstā huuñ na.ī aas liye chehre par
zindagī hai ki kisī shaah kī begam jis ko
vaqt bāzār meñ laayā hai barhana kar ke
aur ḳhāmosh haiñ tahzīb o tamaddun ke sapūt
aaj phir ghaat meñ baiThā hai samundar kā sukūt
vaqt kahtā hai hameñ duur hī rahnā hogā
ham ko har haal meñ majbūr hī rahnā hogā
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
hum ko ek dusre se dur hi rahna hoga
hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga
mujh ko is daur-e-jarahat se guzar jaane de
mujh ko jine ki tamanna nahin mar jaane de
meri taqdir mein gham hain to koi baat nahin
mujh ko zulmat ki guphaon mein utar jaane de
tu na ghabra ki tere husn ki mishal le kar
tere hamrah kabhi tere bichhaune ke qarib
raat bhar dhum machaega mere jism ka bhut
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
zarf baqi na koi azm-e-nihan baqi hai
sirf ehsas ke chehre pe dhuan baqi hai
koi saya hai na sathi hai na mahfil koi
dilkashi KHatm hai phir kyun ye jahan baqi hai
ye jahan jis mein sab atraf tabahi ke nishan
surat o shakl pe zaKHmon ki tarah phaile hain
aur har zaKHm hai insan ki wahshat ka subut
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
talKH tanhai ka ek dard liye chehre par
le ke phirta hun main zaKHmon ke diye chehre par
ruh majruh jabin zaKHm-zada dil ghail
phir bhi hansta hun nai aas liye chehre par
zindagi hai ki kisi shah ki begam jis ko
waqt bazar mein laya hai barhana kar ke
aur KHamosh hain tahzib o tamaddun ke saput
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
waqt kahta hai hamein dur hi rahna hoga
hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.