samay
mere sāmne
ka.ī kauñdhtī talvāreñ TūTīñ
dekhte dekhte
ka.ī sūrmā shahīd hue
ḳhirad-o-junūñ kī maiñ ne
ka.ī jañgeñ dekhīñ
maiñ ne dekhā
surya-putra ko bebas hote
ka.ī shāhoñ ke auñdhe paḌe parcham dekhe
ye aur baat ki
ḳhāmoshī merī fitrat hai
merī āñkheñ lekin kabhī band nahīñ hotīñ
baḌe tarīqe se maiñ sab pe vaar kartā huuñ
mujhe parakhne kī zarūrat kyā hai
ki
maiñ to samay huuñ
mere samne
kai kaundhti talwaren TuTin
dekhte dekhte
kai surma shahid hue
KHirad-o-junun ki main ne
kai jangen dekhin
main ne dekha
surya-putra ko bebas hote
kai shahon ke aundhe paDe parcham dekhe
ye aur baat ki
KHamoshi meri fitrat hai
meri aankhen lekin kabhi band nahin hotin
baDe tariqe se main sab pe war karta hun
mujhe parakhne ki zarurat kya hai
ki
main to samay hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.