samay ka rag
dishā.eñ mujh meñ simaT aa.ī haiñ
āsmān zulm-o-jabr ke bāvajūd
apne tamām rangoñ ke saath
merī āñkhoñ meñ utar rahā hai
dharā kī shirā shirā meñ
umaḌ
aayā hai samay kā raag
havāoñ ke paar
sparsh se pare
bhītar jo boltā hai
kuchh nirākār
ākhar kī aag meñ
nahāyā huā
hāthoñ meñ por-por meñ
karm sā samāyā huā
pūrvaj ke paurūsh saaya kaal pushp
maun apne pravāh meñ hai lai-mān
gatiyoñ se ābaddh meñ
shabd atiit gaan
prithvī apne is chhan meñ sundartam hai
kyoñ ki us ne shabd ko dhāran kiyā hai
is liye mujh par jo biit rahī hai
shāyad vo kavitā hai
aur ye chhan
itihās prithvī sirishTi kyā
puure brhamāñD par bhārī hai
dishaen mujh mein simaT aai hain
aasman zulm-o-jabr ke bawajud
apne tamam rangon ke sath
meri aankhon mein utar raha hai
dhara ki shira shira mein
umaD
aaya hai samay ka rag
hawaon ke par
sparsh se pare
bhitar jo bolta hai
kuchh nirakar
aakhar ki aag mein
nahaya hua
hathon mein por-por mein
karm sa samaya hua
purwaj ke paurush saya kal pushp
maun apne prawah mein hai lai-man
gatiyon se aabaddh mein
shabd atit gan
prithwi apne is chhan mein sundartam hai
kyon ki us ne shabd ko dhaaran kiya hai
is liye mujh par jo bit rahi hai
shayad wo kawita hai
aur ye chhan
itihas prithwi sirishTi kya
pure brhamanD par bhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.