samay sahra
muddateñ guzrīñ samay sahrā banā thā
jab udāsī aur tanhā.ī muhīt-e-jāñ huī thī
naujavānī ke dinoñ kī baat hai
aaj phir masrūfiyat kā sail utar jaane ke baad
bād-e-ayyām-e-shabāb
garmī-e-jehd-e-baqā hai jabki ik afsurda ḳhvāb
huuñ asīr-e-pech-o-tāb
vaqf-e-tanhā.ī hai dil karb-āshnā hai
sub.h-e-pīrī meñ samay sahrā banā hai aaj phir
muddaten guzrin samay sahra bana tha
jab udasi aur tanhai muhit-e-jaan hui thi
naujawani ke dinon ki baat hai
aaj phir masrufiyat ka sail utar jaane ke baad
baad-e-ayyam-e-shabab
garmi-e-jehd-e-baqa hai jabki ek afsurda KHwab
hun asir-e-pech-o-tab
waqf-e-tanhai hai dil karb-ashna hai
subh-e-piri mein samay sahra bana hai aaj phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.