sambhaala
tanhā.ī shikasta par sameTe
ākāsh kī vus.atoñ pe hairāñ
hasrat se ḳhalā meñ tak rahī hai
yādoñ ke sulagte abr-pāre
afsurda dhueñ meñ Dhal chuke haiñ
pahnā-e-ḳhayāl ke dhundalke
ab tīra-o-tār ho ga.e haiñ
aañsū bhī nahīñ ki ro sakūñ maiñ
ye maut hai zindagī nahīñ hai
ab aa.e koī mujhe uThā kar
is ūñche pahāḌ se paTak de
har samt fazā.eñ chīḳh uTTheñ
bādal bhī garaj garaj ke barseñ
koñdoñ ke kaḌakte tāziyāne
lahrā.eñ ghanī siyāh shab ke
siine meñ ka.ī shigāf kar deñ
tārīkiyāñ phir lapak ke uTTheñ
aapas meñ lipaT lipaT ke larzeñ
aur TūTte girte lākhoñ ashjār
kahte raheñ mujh se sambhlo sambhlo
maiñ saḳht o siyāh pattharoñ se
Takrātā huā luḌhaktā jā.ūñ
is shor meñ koī kah rahā ho
ye maut nahīñ hai zindagī hai
tanhai shikasta par sameTe
aakash ki wusaton pe hairan
hasrat se KHala mein tak rahi hai
yaadon ke sulagte abr-pare
afsurda dhuen mein Dhal chuke hain
pahna-e-KHayal ke dhundalke
ab tira-o-tar ho gae hain
aansu bhi nahin ki ro sakun main
ye maut hai zindagi nahin hai
ab aae koi mujhe uTha kar
is unche pahaD se paTak de
har samt fazaen chiKH uTThen
baadal bhi garaj garaj ke barsen
kondon ke kaDakte taziyane
lahraen ghani siyah shab ke
sine mein kai shigaf kar den
tarikiyan phir lapak ke uTThen
aapas mein lipaT lipaT ke larzen
aur TuTte girte lakhon ashjar
kahte rahen mujh se sambhlo sambhlo
main saKHt o siyah pattharon se
Takraata hua luDhakta jaun
is shor mein koi kah raha ho
ye maut nahin hai zindagi hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.