samita-paTil
dil ke mandar meñ ḳhushbū hai lobān kii, ghanTiyāñ baj uThīñ, dev-dāsī thī vo
kitne sarkash añdheroñ meñ jaltī rahī dekhne meñ to mash.al zarā sī thī vo
nuur o naġhma kī rim-jhim phuvāroñ tale muskurātī huī ik udāsī thī vo
pāniyoñ kī farāvāniyoñ meñ ravāñ us kī hairāniyāñ kitnī pyāsī thī vo
husn-e-insāñ se fitrat kī sargoshiyāñ ghul ga.iiñ tere lahje kī jhankār meñ
fan kī takmīl sachchā sarāpā tirā, be-zabānī ko laayā jo iz.hār meñ
muddatoñ tak numā.ish kī ḳhvāhish rahī zindagī tab Dhalī tere kirdār meñ
jo thī zinda mohabbat kī buniyād par vaqt ne chun diyā us ko dīvār meñ
dhuup har ruup meñ, ret har khet meñ, fasl jazbāt par ḳhushk-sālī rahe
do ghaḌī dil kisī ke ḳhayāloñ meñ gum aur phir umr bhar be-ḳhayālī rahe
aa.ina ab tarastā rahe aks ko aur nazar raushnī kī savālī rahe
mere hisse kā ye aañkh bhar āsmāñ jagmagāte sitāre se ḳhālī rahe
dil ke mandar mein KHushbu hai loban ki, ghanTiyan baj uThin, dew-dasi thi wo
kitne sarkash andheron mein jalti rahi dekhne mein to mashal zara si thi wo
nur o naghma ki rim-jhim phuwaron tale muskuraati hui ek udasi thi wo
paniyon ki farawaniyon mein rawan us ki hairaniyan kitni pyasi thi wo
husn-e-insan se fitrat ki sargoshiyan ghul gain tere lahje ki jhankar mein
fan ki takmil sachcha sarapa tira, be-zabani ko laya jo izhaar mein
muddaton tak numaish ki KHwahish rahi zindagi tab Dhali tere kirdar mein
jo thi zinda mohabbat ki buniyaad par waqt ne chun diya us ko diwar mein
dhup har rup mein, ret har khet mein, fasl jazbaat par KHushk-sali rahe
do ghaDi dil kisi ke KHayalon mein gum aur phir umr bhar be-KHayali rahe
aaina ab tarasta rahe aks ko aur nazar raushni ki sawali rahe
mere hisse ka ye aankh bhar aasman jagmagate sitare se KHali rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.