samjha ja sakta hai aasani se
nahīñ samjhā jā saktā āsānī se
kaam ko, kiye baġhair
rāste ko, chale baġhair
manzil ko, pahuñche baġhair
nahīñ samjhā jā saktā āsānī se
din ko, guzāre baġhair
shaam ko, pukāre baġhair
raat ko, sitāre baġhair
nahīñ samjhā jā saktā āsānī se
bojh ko, uThā.e baġhair
zaḳhm ko, khaa.e baġhair
giit ko, gaa.e baġhair
samjhā jā saktā hai āsānī se
mohabbat ko, karne ke ba.ad
ḳhvāb ko, karne ke ba.ad
aadmī ko marne ke ba.ad
nahin samjha ja sakta aasani se
kaam ko, kiye baghair
raste ko, chale baghair
manzil ko, pahunche baghair
nahin samjha ja sakta aasani se
din ko, guzare baghair
sham ko, pukare baghair
raat ko, sitare baghair
nahin samjha ja sakta aasani se
bojh ko, uThae baghair
zaKHm ko, khae baghair
git ko, gae baghair
samjha ja sakta hai aasani se
mohabbat ko, karne ke baad
KHwab ko, karne ke baad
aadmi ko marne ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.