samjhauta
dar-e-gul pe sūraj kī dastak se pahle
sajā lūñgā apnī jabīñ par
ga.ī raat kī ḳhunkiyāñ
sā.atoñ kī muqaddar meñ hai tishnagī
kaise in.aam shabnam kī jur.at karūñ
sharmsārī se lauTūñ ye mumkin nahīñ
ho sake to abhī
shab-e-rafta kī saugand ko bhuul kar
titliyoñ ke sabhī zañg chhūne chalūñ
yuuñ
na.e din ke hamrāh jiine chalūñ
dar-e-gul pe suraj ki dastak se pahle
saja lunga apni jabin par
gai raat ki KHunkiyan
saaton ki muqaddar mein hai tishnagi
kaise inam shabnam ki jurat karun
sharmsari se lauTun ye mumkin nahin
ho sake to abhi
shab-e-rafta ki saugand ko bhul kar
titliyon ke sabhi zang chhune chalun
yun
nae din ke hamrah jine chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.