samjhauta
mulā.em garm samjhaute kī chādar
ye chādar maiñ ne barsoñ meñ bunī hai
kahīñ bhī sach ke gul-būTe nahīñ haiñ
kisī bhī jhuuT kā Tāñkā nahīñ hai
isī se maiñ bhī tan Dhak lūñgī apnā
isī se tum bhī āsūda rahoge!
na ḳhush hoge na pazhmurda rahoge
isī ko taan kar ban jā.egā ghar
bichhā leñge to khil uTThegā āñgan
uThā leñge to gir jā.egī chilman
mulaem garm samjhaute ki chadar
ye chadar main ne barson mein buni hai
kahin bhi sach ke gul-buTe nahin hain
kisi bhi jhuT ka Tanka nahin hai
isi se main bhi tan Dhak lungi apna
isi se tum bhi aasuda rahoge!
na KHush hoge na pazhmurda rahoge
isi ko tan kar ban jaega ghar
bichha lenge to khil uTThega aangan
uTha lenge to gir jaegi chilman
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.