samundar aur insan
qulzum-e-be-karāñ terā phailāo
zindagī ke shu.ūr kā āġhāz
terī maujoñ kā pur-sukūn bahāv
zindagī ke surūr kā ġhammāz
tere tūfān kā utaar chaḌhāv
zindagī ke ġhurūr kā ġhammāz
sochtā huuñ ki terī fitrat se
merī fitrat hai kitnī ham-āhang
terī duniyā hai kaisī be-pāyāñ
merī duniyā hai kaisī rangā-rang
tū hai kitnā vasī.a aur mahdūd
maiñ huuñ kitnā vasī.a kitnā tang
tere bhī gird ik hisār-e-sañg
mere bhī gird ik hisār-e-sañg
qulzum-e-be-karan tera phailao
zindagi ke shuur ka aaghaz
teri maujon ka pur-sukun bahaw
zindagi ke surur ka ghammaz
tere tufan ka utar chaDhaw
zindagi ke ghurur ka ghammaz
sochta hun ki teri fitrat se
meri fitrat hai kitni ham-ahang
teri duniya hai kaisi be-payan
meri duniya hai kaisi ranga-rang
tu hai kitna wasia aur mahdud
main hun kitna wasia kitna tang
tere bhi gird ek hisar-e-sang
mere bhi gird ek hisar-e-sang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.