samundar aur main
ik din mujh se samundar ne kahā
kaun uThā.egā mirā bār-e-girāñ
apnī āshufta-sarī kī ḳhātir
maiñ ne qurbān kiyā aish-e-jahāñ
raat ko chain na din ko ārām
umr nāshād kaTī garm-e-fuġhāñ
muzmahil ho ga.e aazā mere
dast o pā meñ na rahī taab o tavāñ
mauj ko khel se fursat hī nahīñ
is subuk sar ko mirī fikr kahāñ
kuchh tavaqqo thī mujhe sāhil se
vo magar niklā faqat reg-e-ravāñ
bādal aate haiñ chale jaate haiñ
ek pal meñ yahāñ ik pal meñ vahāñ
is zamāne meñ ho kis se ummīd
ġham se begāna samajh saktā hai
dard kā raaz mohabbat kī zabāñ
apne siine meñ biThā lo mujh ko
tā ki maiñ pā.ūñ mashaqqat se amaañ
sun ke bechāre kī rūdād-e-alam
kar liyā maiñ ne use dil meñ nihāñ
aao dekho mire ashkoñ meñ use
ik samundar hai karāñ-tā-ba-karāñ
ek din mujh se samundar ne kaha
kaun uThaega mera bar-e-giran
apni aashufta-sari ki KHatir
main ne qurban kiya aish-e-jahan
raat ko chain na din ko aaram
umr nashad kaTi garm-e-fughan
muzmahil ho gae aaza mere
dast o pa mein na rahi tab o tawan
mauj ko khel se fursat hi nahin
is subuk sar ko meri fikr kahan
kuchh tawaqqo thi mujhe sahil se
wo magar nikla faqat reg-e-rawan
baadal aate hain chale jate hain
ek pal mein yahan ek pal mein wahan
is zamane mein ho kis se ummid
gham se begana samajh sakta hai
dard ka raaz mohabbat ki zaban
apne sine mein biTha lo mujh ko
ta ki main paun mashaqqat se aman
sun ke bechaare ki rudad-e-alam
kar liya main ne use dil mein nihan
aao dekho mere ashkon mein use
ek samundar hai karan-ta-ba-karan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.