samundar aur tishnagi
samundar ke kināre
chāñdnī rātoñ meñ baiThā
un hasīñ shāmoñ ko akasr yaad kartā huuñ
vo shāmeñ jab vo mere saath hotī thī
samundar kī nihāyat shoḳh lahroñ meñ
ikaTThe ham bhī patthar pheñkte the
aur phir ham khilkhilā kar hañs dete the
magar ab chāñdnī rātoñ meñ jab maiñ
sair ko jaatā huuñ tanhā.ī kā kambal oḌh letā huuñ
samundar ke kināre jab bhī gahrī soch meñ Dūbūñ
udāsī ḳhāmushī se paas aa kar baiTh jaatī hai
mire kañdhe pe hamdardī se apnā haath rakhtī hai
vo kuchh kahtī nahīñ lekin mujhe ma.alūm hai vo
is fazā aur merī āñkhoñ kī namī mahsūs kartī hai
namī jo muddatoñ ke ba.ad bhī mujh ko bahut maġhmūm rakhtī hai
samundar ke kinare
chandni raaton mein baiTha
un hasin shamon ko akasr yaad karta hun
wo shamen jab wo mere sath hoti thi
samundar ki nihayat shoKH lahron mein
ikaTThe hum bhi patthar phenkte the
aur phir hum khilkhila kar hans dete the
magar ab chandni raaton mein jab main
sair ko jata hun tanhai ka kambal oDh leta hun
samundar ke kinare jab bhi gahri soch mein Dubun
udasi KHamushi se pas aa kar baiTh jati hai
mere kandhe pe hamdardi se apna hath rakhti hai
wo kuchh kahti nahin lekin mujhe malum hai wo
is faza aur meri aankhon ki nami mahsus karti hai
nami jo muddaton ke baad bhi mujh ko bahut maghmum rakhti hai
- Book : Samandar Aur Jazeere (Pg. 89)
- Author : Khalid Suhail
- Publication : Khalid Suhail, Canada (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.