ye sargoshiyāñ kah rahī haiñ ab aao ki barsoñ se tum ko bulāte bulāte mire
dil pe gahrī thakan chhā rahī hai
kabhī ek pal ko kabhī ek arsa sadā.eñ sunī haiñ magar ye anokhī nidā aa rahī hai
bulāte bulāte to koī na ab tak thakā hai na ā.inda shāyad thakegā
mire pyāre bachche mujhe tum se kitnī mohabbat hai dekho agar
yuuñ kiyā to
burā mujh se baḌh kar na koī bhī hogā ḳhudāyā ḳhudāyā
kabhī ek siskī kabhī ik tabassum kabhī sirf tevarī
magar ye sadā.eñ to aatī rahī haiñ
inhī se hayāt-e-do-rozā abad se milī hai
magar ye anokhī nidā jis pe gahrī thakan chhā rahī hai
ye har ik sadā ko miTāne kī dhamkī diye jā rahī hai
ab āñkhoñ meñ jumbish na chehre pe koī tabassum na tevarī
faqat kaan sunte chale jā rahe haiñ
ye ik gulistāñ hai havā lahlahātī hai kaliyāñ chaTaktī haiñ
ġhunche mahakte haiñ aur phuul khilte haiñ khil khil ke murjhā ke
girte haiñ ik farsh-e-maḳhmal banāte haiñ jis par
mirī ārzūoñ kī pariyāñ ajab aan se yuuñ ravāñ haiñ
ki jaise gulistāñ hī ik ā.īna hai
isī ā.īne se har ik shakl nikhrī sañvar kar miTī aur miT hī ga.ī phir na ubhrī
ye parbat hai ḳhāmosh sākin
kabhī koī chashma ubalte hue pūchhtā hai ki us kī chaTānoñ ke us paar kyā hai
magar mujh ko parbat kā dāman hī kaafī hai dāman meñ vaadī hai vaadī meñ naddī
hai naddī meñ bahtī huī naav hī ā.īna hai
isī ā.īne meñ har ik shakl nikhrī magar ek pal meñ jo miTne lagī hai to
phir na ubhrī
ye sahrā hai phailā huā ḳhushk be-barg sahrā
bagūle yahāñ tund bhūtoñ kā aks-e-mojassam bane haiñ
magar maiñ to duur ek peḌoñ ke jhurmuT pe apnī nigāheñ jamā.e hue huuñ
na ab koī sahrā na parbat na koī gulistāñ
ab āñkhoñ meñ jumbish na chehre pe koī tabassum na tevarī
faqat ek anokhī sadā kah rahī hai ki tum ko bulāte bulāte mire dil pe
gahrī thakan chhā rahī hai
bulāte bulāte to koī na ab tak thakā hai na shāyad thakegā
to phir ye nidā ā.īna hai faqat maiñ thakā huuñ
na sahrā na parbat na koī gulistāñ faqat ab samundar bulātā hai mujh ko
ki har shai samundar se aa.ī samundar meñ jā kar milegī
ye sargoshiyan kah rahi hain ab aao ki barson se tum ko bulate bulate mere
dil pe gahri thakan chha rahi hai
kabhi ek pal ko kabhi ek arsa sadaen suni hain magar ye anokhi nida aa rahi hai
bulate bulate to koi na ab tak thaka hai na aainda shayad thakega
mere pyare bachche mujhe tum se kitni mohabbat hai dekho agar
yun kiya to
bura mujh se baDh kar na koi bhi hoga KHudaya KHudaya
kabhi ek siski kabhi ek tabassum kabhi sirf tewari
magar ye sadaen to aati rahi hain
inhi se hayat-e-do-roza abad se mili hai
magar ye anokhi nida jis pe gahri thakan chha rahi hai
ye har ek sada ko miTane ki dhamki diye ja rahi hai
ab aankhon mein jumbish na chehre pe koi tabassum na tewari
faqat kan sunte chale ja rahe hain
ye ek gulistan hai hawa lahlahati hai kaliyan chaTakti hain
ghunche mahakte hain aur phul khilte hain khil khil ke murjha ke
girte hain ek farsh-e-maKHmal banate hain jis par
meri aarzuon ki pariyan ajab aan se yun rawan hain
ki jaise gulistan hi ek aaina hai
isi aaine se har ek shakl nikhri sanwar kar miTi aur miT hi gai phir na ubhri
ye parbat hai KHamosh sakin
kabhi koi chashma ubalte hue puchhta hai ki us ki chaTanon ke us par kya hai
magar mujh ko parbat ka daman hi kafi hai daman mein wadi hai wadi mein naddi
hai naddi mein bahti hui naw hi aaina hai
isi aaine mein har ek shakl nikhri magar ek pal mein jo miTne lagi hai to
phir na ubhri
ye sahra hai phaila hua KHushk be-barg sahra
bagule yahan tund bhuton ka aks-e-mojassam bane hain
magar main to dur ek peDon ke jhurmuT pe apni nigahen jamae hue hun
na ab koi sahra na parbat na koi gulistan
ab aankhon mein jumbish na chehre pe koi tabassum na tewari
faqat ek anokhi sada kah rahi hai ki tum ko bulate bulate mere dil pe
gahri thakan chha rahi hai
bulate bulate to koi na ab tak thaka hai na shayad thakega
to phir ye nida aaina hai faqat main thaka hun
na sahra na parbat na koi gulistan faqat ab samundar bulata hai mujh ko
ki har shai samundar se aai samundar mein ja kar milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.