samundar ki KHushbu
samundar kī ḳhushbū
kahīñ duur se aa rahī hai,
samundar kī bū se haiñ bojhal... nashīlī havā.eñ
havā.eñ
jo sāhil kī ḳhasta tamannā se Takrā rahī haiñ
havā.eñ purāne zamāne ke kuchh raaz dohrā rahī haiñ
yahāñ se zarā fāsle par nagar hai
jahāñ log baste haiñ
apnī ḳhamoshī meñ Duubī huī zindagī ko... sahārā diye
log rote haiñ... hañste haiñ
apne purāne gharoñ meñ
havā.eñ
purāne gharoñ kī muñDeroñ se Takrā rahī haiñ
purāne gharoñ kī chhatoñ meñ... hadoñ meñ
purāne parindoñ kī haiñ āshiyāne
purāne gharoñ ke makīnoñ ke
apne fasurda fasāne,
koī apne dil kā fasāna
parindoñ se kahtā nahīñ hai
nashīlī havāoñ kī dīvāngī koī sahtā nahīñ hai
samundar kī shorīda-ḳhū garm maujoñ pe bahtā nahīñ hai
samundar
nagar kī bahut tañg galiyoñ se hote hue
mere tan ke tapīda jazīre talak aa gayā hai
samundar... merī aañkh ke rauzan-e-yād se
ruuh ke dasht meñ jhāñktā hai
samundar... mire ḳhuun ke surḳh meñ maujzan
niiñd ke zard meñ na.ara-zan hai
samundar
mere ḳhvāb ke sabz par ḳhanda-zan hai
mire jism par... apnī ḳhvāhish kī bosīdgī kī ridā.eñ
mire jism par ḳhanda-zan haiñ... ye taaza nashīlī havā.eñ
azal kā samundar... mirī aañkh se bah rahā hai
abad ke samundar kā jaadū
mire dil se kuchh kah rahā hai!
samundar ki KHushbu
kahin dur se aa rahi hai,
samundar ki bu se hain bojhal nashili hawaen
hawaen
jo sahil ki KHasta tamanna se Takra rahi hain
hawaen purane zamane ke kuchh raaz dohra rahi hain
yahan se zara fasle par nagar hai
jahan log baste hain
apni KHamoshi mein Dubi hui zindagi ko sahaara diye
log rote hain hanste hain
apne purane gharon mein
hawaen
purane gharon ki munDeron se Takra rahi hain
purane gharon ki chhaton mein hadon mein
purane parindon ki hain aashiyane
purane gharon ke makinon ke
apne fasurda fasane,
koi apne dil ka fasana
parindon se kahta nahin hai
nashili hawaon ki diwangi koi sahta nahin hai
samundar ki shorida-KHu garm maujon pe bahta nahin hai
samundar
nagar ki bahut tang galiyon se hote hue
mere tan ke tapida jazire talak aa gaya hai
samundar meri aankh ke rauzan-e-yaad se
ruh ke dasht mein jhankta hai
samundar mere KHun ke surKH mein maujzan
nind ke zard mein nara-zan hai
samundar
mere KHwab ke sabz par KHanda-zan hai
mere jism par apni KHwahish ki bosidgi ki ridaen
mere jism par KHanda-zan hain ye taza nashili hawaen
azal ka samundar meri aankh se bah raha hai
abad ke samundar ka jadu
mere dil se kuchh kah raha hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 94)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.