samundar
maiñ din us ke qarīb jaane kī
koshish meñ guzārtī huuñ
vo mauj mauj muskurātā hai
lahr-dar-lahr pīchhe haTtā jaatā hai
kuchh boltā nahīñ
vo raat mere qarīb aane kī
koshish meñ guzārtā hai
maiñ lahr lahr muskurātī huuñ
mauj-dar-mauj pīchhe haTtī jaatī huuñ
kuchh boltī nahīñ
main din us ke qarib jaane ki
koshish mein guzarti hun
wo mauj mauj muskuraata hai
lahr-dar-lahr pichhe haTta jata hai
kuchh bolta nahin
wo raat mere qarib aane ki
koshish mein guzarta hai
main lahr lahr muskuraati hun
mauj-dar-mauj pichhe haTti jati hun
kuchh bolti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.