samundar
samundar
jo
zamīn ke chāroñ taraf phailā huā hai
ek hī hai
ham ne use muḳhtalif naam de rakhe haiñ
zamāna bhī ek hī hai
vo kahāñ badaltā hai
badalte to ham haiñ
maazī
ham jo badal ga.e
mustaqbil
ham jo badalne vaale haiñ
aur haal
ham jo haiñ
vaqt ek ġhair munqasim lambī Dor hai
azal abad ke darmiyān
maazī haal mustaqbil
hamāre diye hue naam haiñ
samundar kī tarah
kyā ḳhudā
nāmoñ se taqsīm ho paayā hai
samundar
jo
zamin ke chaaron taraf phaila hua hai
ek hi hai
hum ne use muKHtalif nam de rakhe hain
zamana bhi ek hi hai
wo kahan badalta hai
badalte to hum hain
mazi
hum jo badal gae
mustaqbil
hum jo badalne wale hain
aur haal
hum jo hain
waqt ek ghair munqasim lambi Dor hai
azal abad ke darmiyan
mazi haal mustaqbil
hamare diye hue nam hain
samundar ki tarah
kya KHuda
namon se taqsim ho paya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.