sang-abaad ki ek dukan
sang-ābād meñ kyā maiñ ne dukāñ kholī hai
log hairat-zada aate haiñ chale jaate haiñ
ik ḳharīdār ne pūchhā ki sabab kyā to zabāñ kholī hai
ye hai qarnoñ se khaḌā soch kī āvāz kā but
koī vijdān kā mausam koī ilhām kī rut
jab bhī aa.egī ye degā koī nādīda surāġh
aap idhar aañkh uThā.eñ to dikhā.ī degā
shīsha-e-lamha hai ye jis meñ hai sadiyoñ kī sharāb
saañs ke gamloñ meñ ye umr-e-do-roza ke gulāb
jhaaḌ fānūs haiñ taḳh.īl ke raushan haiñ charāġh
āñdhiyāñ aa.eñ to ye aañkh malā karte haiñ
roġhan-e-fikr kī hiddat se jalā karte haiñ
ġhaur se dekhiye kyā kyā na sujhā.ī degā
dar-o-dīvār pe peshāniyāñ zaḳhm-ālūda
sajde mehrāboñ meñ ārāmīda o āsūda
kāñch kā taaq hai ye jis meñ hai armāñ kī qatār
ye jo alfāz khilaunoñ kī tarah haiñ in kī
chābiyāñ nit-na.e mafhūm kī miltī haiñ hazār
ye hai ehsās kā gul-dāñ ki haiñ kaliyāñ jis meñ
jab ye chaTkeñ to chhaTī his kī zarūrat hogī
ye vo tasvīr hai āñkhoñ kī zabāñ hai jis kī
vo paḌegā jise taufīq-e-basīrat hogī
nā-farīda hai ye duniyā magar ik ḳhāka hai
ḳhair-o-shar hoñge magar sūrat-e-hālāt judā
nek-o-bad kī na.ī farhañg murattab hogī
roz-o-shab hoñge yahī sub.h alag raat judā
kyā kahā aap ne vo kaun hai! patthar kī tarah
vo koī jins nahīñ hai ki jo bechī jaa.e
aks-e-zinda hai vo merā na koī chhū paa.e
vo isī aas pe jiitā hai ye sab bikhrā.e
koī gāhak idhar aa.egā payambar kī tarah
sang-abaad mein kya main ne dukan kholi hai
log hairat-zada aate hain chale jate hain
ek KHaridar ne puchha ki sabab kya to zaban kholi hai
ye hai qarnon se khaDa soch ki aawaz ka but
koi wijdan ka mausam koi ilham ki rut
jab bhi aaegi ye dega koi nadida suragh
aap idhar aankh uThaen to dikhai dega
shisha-e-lamha hai ye jis mein hai sadiyon ki sharab
sans ke gamlon mein ye umr-e-do-roza ke gulab
jhaD fanus hain taKHil ke raushan hain charagh
aandhiyan aaen to ye aankh mala karte hain
roghan-e-fikr ki hiddat se jala karte hain
ghaur se dekhiye kya kya na sujhai dega
dar-o-diwar pe peshaniyan zaKHm-aluda
sajde mehrabon mein aaramida o aasuda
kanch ka taq hai ye jis mein hai arman ki qatar
ye jo alfaz khilaunon ki tarah hain in ki
chabiyan nit-nae mafhum ki milti hain hazar
ye hai ehsas ka gul-dan ki hain kaliyan jis mein
jab ye chaTken to chhaTi his ki zarurat hogi
ye wo taswir hai aankhon ki zaban hai jis ki
wo paDega jise taufiq-e-basirat hogi
na-farida hai ye duniya magar ek KHaka hai
KHair-o-shar honge magar surat-e-haalat juda
nek-o-bad ki nai farhang murattab hogi
roz-o-shab honge yahi subh alag raat juda
kya kaha aap ne wo kaun hai! patthar ki tarah
wo koi jins nahin hai ki jo bechi jae
aks-e-zinda hai wo mera na koi chhu pae
wo isi aas pe jita hai ye sab bikhrae
koi gahak idhar aaega payambar ki tarah
- Book : Urdu-1983 (Pg. 159)
- Author : Nand Kishore Vikram
- Publication : Publisher & Advertisers J-6, Krishan Nagar, Delhi-110051 (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.