sang-e-buniyaad
havā ne saañs liyā thā
abhī kahānī meñ
falak kī aañkh meñ sho.ale
abhī dahakte the
thakan kī goñd ne chipkā rakhe the
jism se par
shafaq ke lothaḌe bikhre hue the
paanī meñ
namāz-e-asr adā honī thī
huī ki nahīñ
parind jhiil par utre
magar vazū na kiyā
hawa ne sans liya tha
abhi kahani mein
falak ki aankh mein shoale
abhi dahakte the
thakan ki gond ne chipka rakhe the
jism se par
shafaq ke lothaDe bikhre hue the
pani mein
namaz-e-asr ada honi thi
hui ki nahin
parind jhil par utre
magar wazu na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.