sang-e-mil
vo ek patthar
vo saḳht kaalā siyāh patthar
lahū se tar
jis kī tīrgī naag ban ke Dastī thī
jis kī saḳhtī se kohsāroñ ke dil dahalte the
jis kī ḳhūñ-tishnagī se komal shajar faqat Tahniyoñ kī hasrat ke zāviye the
vo ek patthar
jo tū ne pheñkā
mire samundar meñ harakat-e-lā-zavāl kā ek tāziyāna banā
vo lahreñ uTThīñ
ki ḳhāmosh chāñdnī kī rupahlī chādar bhī thartharā.ī
vo jhaag kā nuur tīrgī ke siyāh pardoñ ko chaak karne lagā
vo shīshe kī ek dīvār
jis ko tū ye samajh rahā thā
ki ek Thokar se chuur hogī
vo ek sone kā thaal ban kar damak rahī hai
wo ek patthar
wo saKHt kala siyah patthar
lahu se tar
jis ki tirgi nag ban ke Dasti thi
jis ki saKHti se kohsaron ke dil dahalte the
jis ki KHun-tishnagi se komal shajar faqat Tahniyon ki hasrat ke zawiye the
wo ek patthar
jo tu ne phenka
mere samundar mein harakat-e-la-zawal ka ek taziyana bana
wo lahren uTThin
ki KHamosh chandni ki rupahli chadar bhi thartharai
wo jhag ka nur tirgi ke siyah pardon ko chaak karne laga
wo shishe ki ek diwar
jis ko tu ye samajh raha tha
ki ek Thokar se chur hogi
wo ek sone ka thaal ban kar damak rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.