sangam
kaliyoñ kā armān haiñ ham sab
ġhunchoñ kī muskān haiñ ham sab
ham ne guloñ ko ḳhushbū dī hai
gulzāroñ kī jaan haiñ ham sab
chāñd kī duniyā se bhī aage
ik din uḌ kar ham jā.eñge
siine par ab nīl-gagan ke
parcham apnā lahrā.eñge
masjid mandir girjā vaale
dharm kī devī ke rakhvāle
nafrat apnī had tak rakkheñ
ham haiñ ulfat ke matvāle
dhartī ke ham chāñd sitāre
kundan aur pukhrāj ke TukḌe
sūraj banñe vaale zarre
duniyā bhar ke saare bachche
sangam gañgā jamunā kā haiñ
raam mohammad D’souza haiñ
kaliyon ka arman hain hum sab
ghunchon ki muskan hain hum sab
hum ne gulon ko KHushbu di hai
gulzaron ki jaan hain hum sab
chand ki duniya se bhi aage
ek din uD kar hum jaenge
sine par ab nil-gagan ke
parcham apna lahraenge
masjid mandir girja wale
dharm ki dewi ke rakhwale
nafrat apni had tak rakkhen
hum hain ulfat ke matwale
dharti ke hum chand sitare
kundan aur pukhraj ke TukDe
suraj banne wale zarre
duniya bhar ke sare bachche
sangam ganga jamuna ka hain
ram mohammad D’souza hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.