sangam
prayāg pe bichhḌī huī bahneñ jo milī haiñ
paanī kī zamīñ par bhī to kaliyāñ sī khilī haiñ
kuchh gañgā kā ruknā
kuchh jamunā kā jhuknā
phir donoñ kā milnā
vo phuul se khilnā
kis shauq se iThlātī huī saath chalī haiñ
ye ishq-o-mohabbat ke nazzāre azalī haiñ
kahte haiñ ki jannat se bhī aa.ī hai bahan ek
go tīnoñ kā hī asl meñ ghar ek vatan hai
ghar jab se chhuTā thā
dil sard huā thā
vo koh se girnā
vo dasht meñ phirnā
rātoñ ko vo sunsān bayābān meñ chalnā
sahme hue tāroñ kā vo siine meñ machalnā
thā vo safar dasht meñ maidān meñ ban meñ
ḳhāmosh pahāḌoñ meñ gulistāñ meñ chaman meñ
jañgal se nikalnā
rukte hue chalnā
kuchh baḌh ke palaTnā
Dar Dar ke simaTnā
mar mar ke akele ye guzārā hai zamāna
jaise koī duniyā meñ na ho apnā yagāna
ḳhālī kabhī jaatī nahīñ be-lafz sadā.eñ
āḳhir ko asar kar ga.iiñ ḳhāmosh duā.eñ
jaagā hai muqaddar
prayāg pe aa kar
ab ġham na saheñge
tanhā na raheñge
prayāg pe bahnoñ ko milāyā hai ḳhudā ne
muddat meñ ye din aaj dikhāyā hai ḳhudā ne
kyā josh-e-mohabbat se baġhal-gīr huī haiñ
vāraftagī-e-shauq kī tasvīr huī haiñ
allāh re mohabbat
sarmāya-e-rāhat
ye kis ko ḳhabar thī
dil milte haiñ yuuñ bhī
hoñgī na judā hashr tak ab aise milī haiñ
ḳhush bahneñ haiñ yā paanī pe kaliyāñ sī khilī haiñ
prayag pe bichhDi hui bahnen jo mili hain
pani ki zamin par bhi to kaliyan si khili hain
kuchh ganga ka rukna
kuchh jamuna ka jhukna
phir donon ka milna
wo phul se khilna
kis shauq se iThlati hui sath chali hain
ye ishq-o-mohabbat ke nazzare azali hain
kahte hain ki jannat se bhi aai hai bahan ek
go tinon ka hi asl mein ghar ek watan hai
ghar jab se chhuTa tha
dil sard hua tha
wo koh se girna
wo dasht mein phirna
raaton ko wo sunsan bayaban mein chalna
sahme hue taron ka wo sine mein machalna
tha wo safar dasht mein maidan mein ban mein
KHamosh pahaDon mein gulistan mein chaman mein
jangal se nikalna
rukte hue chalna
kuchh baDh ke palaTna
Dar Dar ke simaTna
mar mar ke akele ye guzara hai zamana
jaise koi duniya mein na ho apna yagana
KHali kabhi jati nahin be-lafz sadaen
aaKHir ko asar kar gain KHamosh duaen
jaga hai muqaddar
prayag pe aa kar
ab gham na sahenge
tanha na rahenge
prayag pe bahnon ko milaya hai KHuda ne
muddat mein ye din aaj dikhaya hai KHuda ne
kya josh-e-mohabbat se baghal-gir hui hain
waraftagi-e-shauq ki taswir hui hain
allah re mohabbat
sarmaya-e-rahat
ye kis ko KHabar thi
dil milte hain yun bhi
hongi na juda hashr tak ab aise mili hain
KHush bahnen hain ya pani pe kaliyan si khili hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.