sanjiw sarraf ke liye ek nazm
azm-e-shāhīnī liye ik naujavāñ sanjīv hai
ab mirī urdu kā sachchā pāsbāñ sanjīv hai
reḳhta ke ho tumhīñ ustād ġhālib aaj bhī
haañ magar is baaġh kā ab bāġhbāñ sanjīv hai
jis meñ lākhoñ haiñ sitāre shā.irī-o-nasr ke
is na.ī ik kahkashāñ kā āsmāñ sanjīv hai
ḳhūb-rū hai ḳhūb-sīrat narm-guftārī bhī hai
bā-adab tahzīb kā sail-e-ravāñ sanjīv hai
vo akelā hī chalā thā jānib-e-manzil magar
ab to kitne qāfiloñ kā kārvāñ sanjīv hai
jis ke dil meñ zehn meñ sāñsoñ meñ hai saarā adab
reḳhta jaisī hasīna kī zabāñ sanjīv hai
kal vafā urdu se us kī surḳh-rū ho jā.egī
dāstānoñ meñ chhupī ik dāstāñ sanjīv hai
jis meñ shirkat ke liye be-tāb hai saarā jahāñ
jashn-e-urdu kā bhī mīr-e-kārvāñ sanjīv hai
bhar rahā hai reḳhta gāgar meñ vo saarā adab
yuuñ lage 'az.har' mujhe saarā jahāñ sanjīv hai
azm-e-shahini liye ek naujawan sanjiw hai
ab meri urdu ka sachcha pasban sanjiw hai
reKHta ke ho tumhin ustad ghaalib aaj bhi
han magar is bagh ka ab baghban sanjiw hai
jis mein lakhon hain sitare shairi-o-nasr ke
is nai ek kahkashan ka aasman sanjiw hai
KHub-ru hai KHub-sirat narm-guftari bhi hai
ba-adab tahzib ka sail-e-rawan sanjiw hai
wo akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
ab to kitne qafilon ka karwan sanjiw hai
jis ke dil mein zehn mein sanson mein hai sara adab
reKHta jaisi hasina ki zaban sanjiw hai
kal wafa urdu se us ki surKH-ru ho jaegi
dastanon mein chhupi ek dastan sanjiw hai
jis mein shirkat ke liye be-tab hai sara jahan
jashn-e-urdu ka bhi mir-e-karwan sanjiw hai
bhar raha hai reKHta gagar mein wo sara adab
yun lage 'azhar' mujhe sara jahan sanjiw hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.