sanjiwni
be-sabab jaane kyoñ us roz tabī'at thī udaas
surma.ī shaam thī dilkash thī shafaq kī laalī
ḳhush-navā shoḳh parindoñ kī bhī sargoshī thī
nik.hateñ sabza-e-nau-ḳhez pe thiiñ mast-e-ḳhirām
raqs-āmāda the sarmast havā ke jhoñke
aur dariyā kī ḳhush-āhang machaltī maujeñ
ḳhunuk vaadī meñ tarannum ho ramīda jaise
har taraf husn-e-tarab-ḳhez kā 'ālam thā magar
jaane kyā baat thī us roz tabī'at thī udaas
shaam Dhalne ko thī baiThā thā maiñ sāhil ke qarīb
munhamik kapḌe badalne meñ thī vo ġhusl ke baa'd
tar-ba-tar bhīgī huī saarī meñ badmast shabāb
gore gadrā.e hue sīnoñ kā bharpūr gudāz
ubhre ubhre se kaToroñ ke kattha.ī buuTe
atlasī gāloñ pe paanī ke sīm-gūñ qatre
nargisī āñkhoñ ke pyāloñ meñ sharāb-e-ahmar
shoḳh yāqūt-fām hoñT kamāl-e-āzar
piñDliyāñ kūlhe kamar naaf ilāhī tauba
kāsnī dhuup ke partav meñ dam-e-añgḌā.ī
aisī ausān-rubā sāñvlī venus ki jise
shaiḳh bhī dekh le ik baar to taqvā bhūle
dekhte dekhte nabzoñ meñ harārat phūTī
thā jo ā'sāb pe yak-bārgī TuuTā vo jumūd
sar uThāne lage bebāk sar-phire jazbāt
is tarah dil meñ sulagne lage ḳhvāhish ke alaav
jaise shiryānoñ meñ raqsāñ koī chingārī ho
jaise sanjīvnī buuTī kī sehr-kārī ho
be-sabab jaane kyon us roz tabi'at thi udas
surmai sham thi dilkash thi shafaq ki lali
KHush-nawa shoKH parindon ki bhi sargoshi thi
nikhaten sabza-e-nau-KHez pe thin mast-e-KHiram
raqs-amada the sarmast hawa ke jhonke
aur dariya ki KHush-ahang machalti maujen
KHunuk wadi mein tarannum ho ramida jaise
har taraf husn-e-tarab-KHez ka 'alam tha magar
jaane kya baat thi us roz tabi'at thi udas
sham Dhalne ko thi baiTha tha main sahil ke qarib
munhamik kapDe badalne mein thi wo ghusl ke ba'd
tar-ba-tar bhigi hui sari mein badmast shabab
gore gadrae hue sinon ka bharpur gudaz
ubhre ubhre se kaToron ke katthai buTe
atlasi galon pe pani ke sim-gun qatre
nargisi aankhon ke pyalon mein sharab-e-ahmar
shoKH yaqut-fam honT kamal-e-azar
pinDliyan kulhe kamar naf ilahi tauba
kasni dhup ke partaw mein dam-e-angDai
aisi ausan-ruba sanwli wenus ki jise
shaiKH bhi dekh le ek bar to taqwa bhule
dekhte dekhte nabzon mein hararat phuTi
tha jo aa'sab pe yak-bargi TuTa wo jumud
sar uThane lage bebak sar-phire jazbaat
is tarah dil mein sulagne lage KHwahish ke alaw
jaise shiryanon mein raqsan koi chingari ho
jaise sanjiwni buTi ki sehr-kari ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.