sannaTa
aaj phir dahlīz par kuchh āhaTeñ haiñ
kaun hogā
kaun aayā hogā
in tanhā.iyoñ meñ
in añdheroñ meñ
ḳhatm hone ko charāġhoñ kā safar hai
raushnī mehmān kuchh lamhoñ kī hai
gūñge lahje sā.ateñ andhī shikasta e'timād
barf kī chādar lapeTe haiñ vo sab
alfāz ab tak
faḳhr thā jin kī vafādārī pe mujh ko
aaj vo bhī TuuT kar
bikhre haiñ sannāToñ kī chaukhaT par
aaj phir dahliz par kuchh aahaTen hain
kaun hoga
kaun aaya hoga
in tanhaiyon mein
in andheron mein
KHatm hone ko charaghon ka safar hai
raushni mehman kuchh lamhon ki hai
gunge lahje saaten andhi shikasta e'timad
barf ki chadar lapeTe hain wo sab
alfaz ab tak
faKHr tha jin ki wafadari pe mujh ko
aaj wo bhi TuT kar
bikhre hain sannaTon ki chaukhaT par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.