sannaTa
koī dhaḌkan
na koī chaap
na sanchal
na koī mauj
na halchal
na kisī saañs kī garmī
na badan
aise sannāTe meñ ik-ādh to pattā khaḌke
koī pighlā huā motī
koī aañsū
koī dil
kuchh bhī nahīñ
kitnī sunsān hai ye rāhguzar
koī ruḳhsār to chamke koī bijlī to gire
koi dhaDkan
na koi chap
na sanchal
na koi mauj
na halchal
na kisi sans ki garmi
na badan
aise sannaTe mein ik-adh to patta khaDke
koi pighla hua moti
koi aansu
koi dil
kuchh bhi nahin
kitni sunsan hai ye rahguzar
koi ruKHsar to chamke koi bijli to gire
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 211)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.