sannaTa
shahr ke andar sannāTā hai
jaise kisī mātam kā manzar
saḌkeñ haiñ vīrān akelī
rāteñ haiñ pur-haul añdherī
log gharoñ meñ band haiñ saare
so.e hue haiñ baḳht ke maare
ġham se haiñ āzād
had-darja behosh
'āsim' mat kar shor
'āsim' bas ḳhāmosh
shahr ke andar sannaTa hai
jaise kisi matam ka manzar
saDken hain viran akeli
raaten hain pur-haul andheri
log gharon mein band hain sare
soe hue hain baKHt ke mare
gham se hain aazad
had-darja behosh
'asim' mat kar shor
'asim' bas KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.