sanpole
banī-ādam
tumheñ kuchh yaad bhī hai
jab tumheñ raushan nishānī dī ga.ī thī
ghamanDī tīrgī ko
jab guphāoñ meñ jalā kar
marġh-zāroñ ko bahāroñ se sajāyā jā rahā thā
tum apne saath ik raushan nishānī
aur guphāoñ kī virāsat le ke aa.e the
tumhāre saath thoḌe saañp bhī the
jinhoñ ne apne virse ko
guphāoñ se mahakte marġh-zāroñ tak
zamīnoñ se samundar tak
havāoñ se ḳhalāoñ tak sañbhālā hai
tumheñ mālūm hai kyā
tumhāre paas to bas ek izn-e-raushnī hai
aur un ke paas hai ik sarmadī nusḳha
guphāoñ kī virāsat kā
tumhārī sab matā-e-dīn-o-dānish
aql-o-āzādī kā virsa
un ke virse ke muqābil kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ
aur jo tumhāre paas hai
vo bhī unhī kī dastaras meñ hai
tumhārā kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ
tumhārī sab matā-e-be-bahā
phir se guphāoñ kī amānat ho ga.ī hai
aur vo saañp us ke pahre-dār
bani-adam
tumhein kuchh yaad bhi hai
jab tumhein raushan nishani di gai thi
ghamanDi tirgi ko
jab guphaon mein jala kar
margh-zaron ko bahaaron se sajaya ja raha tha
tum apne sath ek raushan nishani
aur guphaon ki wirasat le ke aae the
tumhaare sath thoDe sanp bhi the
jinhon ne apne wirse ko
guphaon se mahakte margh-zaron tak
zaminon se samundar tak
hawaon se KHalaon tak sanbhaala hai
tumhein malum hai kya
tumhaare pas to bas ek izn-e-raushni hai
aur un ke pas hai ek sarmadi nusKHa
guphaon ki wirasat ka
tumhaari sab mata-e-din-o-danish
aql-o-azadi ka wirsa
un ke wirse ke muqabil kuchh nahin kuchh bhi nahin
aur jo tumhaare pas hai
wo bhi unhi ki dastaras mein hai
tumhaara kuchh nahin kuchh bhi nahin
tumhaari sab mata-e-be-baha
phir se guphaon ki amanat ho gai hai
aur wo sanp us ke pahre-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.