santhaali nach
ye chaTTānoñ ke bhañvar haiñ
jin se zulmat chīḳhtī hai
āñdhiyoñ ke dil kī dhaḌkan
dev-dāroñ ke tanoñ meñ
mast sheroñ kī garaj hai
jañgaloñ meñ
morchhal, neze, kamāneñ
lazzatoñ ke muñh se bāhar tund sho.aloñ kī zabāneñ
auratoñ kī ābnūsī chhātiyoñ se
dard ban kar zahr kī būñdeñ gireñgī
un kī rāneñ tishna-e-paikāñ raheñgī
aur vahshat sañg-rezoñ par chalegī
ḳhuun ban kar taal degī
ye chaTTanon ke bhanwar hain
jin se zulmat chiKHti hai
aandhiyon ke dil ki dhaDkan
dew-daron ke tanon mein
mast sheron ki garaj hai
jangalon mein
morchhal, neze, kamanen
lazzaton ke munh se bahar tund shoalon ki zabanen
auraton ki aabnusi chhatiyon se
dard ban kar zahr ki bunden girengi
un ki ranen tishna-e-paikan rahengi
aur wahshat sang-rezon par chalegi
KHun ban kar tal degi
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.