sapera
maiñ huuñ ek ajiib saperā
naag pālnā kaam hai merā
piile piile kaale kaale
rañg birañge dhabboñ vaale
sho.aloñ sī fankāroñ vaale
zahrīlī mahkāroñ vaale
un kī āñkheñ tez nashīlī
gahrī jhīloñ aisī niilī
na.e lahū se laal zabāneñ
jaise maut kī rañgīñ tāneñ
maḳhmal ke rumāloñ jaise
surḳh gulābī gāloñ jaise
mujh ko takte rahte haiñ ye
mujh ko Daste rahte haiñ ye
mujh pe hañste rahte haiñ ye
main hun ek ajib sapera
nag palna kaam hai mera
pile pile kale kale
rang birange dhabbon wale
shoalon si fankaron wale
zahrili mahkaron wale
un ki aankhen tez nashili
gahri jhilon aisi nili
nae lahu se lal zabanen
jaise maut ki rangin tanen
maKHmal ke rumalon jaise
surKH gulabi galon jaise
mujh ko takte rahte hain ye
mujh ko Daste rahte hain ye
mujh pe hanste rahte hain ye
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 31)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.