sapna aage jata kaise
chhoTā sā ik gaañv thā jis meñ
diye the kam aur bahut añdherā
bahut shajar the thoḌe ghar the
jin ko thā duurī ne gherā
itnī baḌī tanhā.ī thī jis meñ
jāgtā rahtā thā dil merā
bahut qadīm firāq thā jis meñ
ek muqarrar had se aage
soch na saktā thā dil merā
aisī sūrat meñ phir dil ko
dhyān aatā kis ḳhvāb meñ terā
raaz jo had se bāhar meñ thā
apnā-āp dikhātā kaise
sapne kī bhī had thī āḳhir
sapnā aage jaatā kaise
chhoTa sa ek ganw tha jis mein
diye the kam aur bahut andhera
bahut shajar the thoDe ghar the
jin ko tha duri ne ghera
itni baDi tanhai thi jis mein
jagta rahta tha dil mera
bahut qadim firaq tha jis mein
ek muqarrar had se aage
soch na sakta tha dil mera
aisi surat mein phir dil ko
dhyan aata kis KHwab mein tera
raaz jo had se bahar mein tha
apna-ap dikhata kaise
sapne ki bhi had thi aaKHir
sapna aage jata kaise
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 660)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.