sapne
āḳhir kab tak
tum sapnoñ ke shīsh-mahal meñ
rañg birañgī
qaus-e-quzah sī
yādoñ kī ek chādar taane
so.e rahoge kho.e rahoge
ek zarā ye bhī to socho
kal koī sharīr sā bachcha
sapnoñ ke us shīsh-mahal par
khel hī khel meñ bas ik patthar
de maare to phir kyā hogā
āñkheñ kholo
sapne to āḳhir sapne haiñ
un kā kyā hai
maazī ke biite lamhoñ ko
muTThī meñ kis ne pakḌā hai
aaKHir kab tak
tum sapnon ke shish-mahal mein
rang birangi
qaus-e-quzah si
yaadon ki ek chadar tane
soe rahoge khoe rahoge
ek zara ye bhi to socho
kal koi sharir sa bachcha
sapnon ke us shish-mahal par
khel hi khel mein bas ek patthar
de mare to phir kya hoga
aankhen kholo
sapne to aaKHir sapne hain
un ka kya hai
mazi ke bite lamhon ko
muTThi mein kis ne pakDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.