sapne mein sapna dekha tha
Interesting Fact
(commemorating Nasir Kazmi)
sapne meñ sapnā dekhā thā
nuur kā ik dariyā bahtā thā
naġhma bhī vo kyā naġhma thā
aah se merī jo upjā thā
jaane kyā hone vaalā thā
har manzar sahmā-sahmā thā
Thahre paanī meñ halchal thī
patthar kis ne pheñk diyā thā
sannāTe ke bāhar bhītar
bas maiñ hī chup-chāp khaḌā thā
chehre par sahrā kā manzar
āñkhoñ meñ dariyā dekhā thā
dil ke sahrā meñ jaane kyoñ
ek samundar chīḳh rahā thā
bijlī sī vo kyā chamkī thī
paanī sā vo kyā barsā thā
zāhir meñ vo ḳhush thā lekin
andar se TūTā-TūTā thā
kal us kī sūkhī āñkhoñ se
ek samundar jhāñk rahā thā
chhoḌo ab vo pahlī bāteñ
samjho ik sapnā dekhā thā
ashkoñ kī qindīl jalā kar
koī rasta dekh rahā thā
tere aane se pahle bhī
is jañgal meñ phuul khilā thā
sunte haiñ vo ham se bichhaḌ ke
khoyā-khoyā sā rahtā thā
sapne mein sapna dekha tha
nur ka ek dariya bahta tha
naghma bhi wo kya naghma tha
aah se meri jo upja tha
jaane kya hone wala tha
har manzar sahma-sahma tha
Thahre pani mein halchal thi
patthar kis ne phenk diya tha
sannaTe ke bahar bhitar
bas main hi chup-chap khaDa tha
chehre par sahra ka manzar
aankhon mein dariya dekha tha
dil ke sahra mein jaane kyon
ek samundar chiKH raha tha
bijli si wo kya chamki thi
pani sa wo kya barsa tha
zahir mein wo KHush tha lekin
andar se TuTa-TuTa tha
kal us ki sukhi aankhon se
ek samundar jhank raha tha
chhoDo ab wo pahli baaten
samjho ek sapna dekha tha
ashkon ki qindil jala kar
koi rasta dekh raha tha
tere aane se pahle bhi
is jangal mein phul khila tha
sunte hain wo hum se bichhaD ke
khoya-khoya sa rahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.