sar-e-rah
lamha bhar ke liye chalte chalte qadam ruk ga.e
ḳhuun ke taaza taaza nishāñ chhoḌ kar
khāñstī zindagī donoñ hātoñ se siine ko thāme hue
jaane kis moḌ par jā ke gum ho ga.ī
rāste kī syāhī se lipTā rahā
ik asāsa jise apne vāris kī koī zarūrat na thī
ek TuuTā huā aa.ina
jis meñ ā.īna-gar kī bhī sūrat na thī
merī āñkhoñ ne us ḳhūn-e-tāza kā nauha paḌhā
merī sāñsoñ kā Dorā ulajhne lagā
aur phir merā insān kuchh der meñ
apne hī jaise insān ke ḳhuun se Dar gayā
ek nādīda maḳhlūq ke ḳhauf se mar gayā
lamha bhar ke liye chalte chalte qadam ruk gae
KHun ke taza taza nishan chhoD kar
khansti zindagi donon haton se sine ko thame hue
jaane kis moD par ja ke gum ho gai
raste ki syahi se lipTa raha
ek asasa jise apne waris ki koi zarurat na thi
ek TuTa hua aaina
jis mein aaina-gar ki bhi surat na thi
meri aankhon ne us KHun-e-taza ka nauha paDha
meri sanson ka Dora ulajhne laga
aur phir mera insan kuchh der mein
apne hi jaise insan ke KHun se Dar gaya
ek nadida maKHluq ke KHauf se mar gaya
- Book : namuud (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.