sar-e-rahguzar ek manzar
qafas kā dar khulā ik nīm-jāñ kam-sin
parinda chand ḳhasta zā.ichoñ par raqs ke andāz meñ aage
baḌhā, phir choñch se apnā pasandīda
musavvar zā.icha us ne uThāyā aur apne hī
hidāyat-kār ke aage
adab se rakh diyā jhuk kar
hidāyat-kār garche nuur se thā bad-gumāñ mahrūm nā-ḳhvāñda
sar-e-sail-e-ravāñ ik barg-e-be-māya
navisht-e-baḳht ke asrār se vāqif thā vo shāyad
nazar ke rū-ba-rū us ne
matā-e-be-nihāyat ke fasāne se mujhe ḳhush-hāl kar Daalā
mujhe pāmāl kar Daalā
sabhī mauj-e-ziyā meñ the
sabhī ke chashm o dil meñ ek shola thā
sabhī ḳhāmosh gum-sum haiñ
yahāñ se kaun jā.egā
yahāñ par kaun aa.egā
parinda nīm-jāñ kam-sin
qafas meñ jā chukā kab kā
hidāyat-kār kī āñkhoñ meñ lauT aa.ī hai vīrānī
jo kal ḳhālī thā vo dast-e-talab hai aaj bhī ḳhālī
laboñ par lutf-e-andām-e-nihāñ kī an-sunī gaalī
qafas ka dar khula ek nim-jaan kam-sin
parinda chand KHasta zaichon par raqs ke andaz mein aage
baDha, phir chonch se apna pasandida
musawwar zaicha us ne uThaya aur apne hi
hidayat-kar ke aage
adab se rakh diya jhuk kar
hidayat-kar garche nur se tha bad-guman mahrum na-KHwanda
sar-e-sail-e-rawan ek barg-e-be-maya
nawisht-e-baKHt ke asrar se waqif tha wo shayad
nazar ke ru-ba-ru us ne
mata-e-be-nihayat ke fasane se mujhe KHush-haal kar Dala
mujhe pamal kar Dala
sabhi mauj-e-ziya mein the
sabhi ke chashm o dil mein ek shola tha
sabhi KHamosh gum-sum hain
yahan se kaun jaega
yahan par kaun aaega
parinda nim-jaan kam-sin
qafas mein ja chuka kab ka
hidayat-kar ki aankhon mein lauT aai hai virani
jo kal KHali tha wo dast-e-talab hai aaj bhi KHali
labon par lutf-e-andam-e-nihan ki an-suni gali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.