sar-e-rah-guzar
ik mauhūm sā kāshāna nazar aatā hai
ek maġhmūm sā ġham-ḳhāna nazar aatā hai
apnī manzil hī mujhe khīñch rahī hai shāyad
ham-safar par mujhe begāna nazar aatā hai
dekh ai josh-e-junūñ bādiya-paimā.ī ko
naqsh-e-pā bhī mujhe dīvāna nazar aatā hai
dāstāñ phailī huī hai mirī sahrāoñ meñ
ham-zabān aaj ye vīrāna nazar aatā hai
ḳhaak uḌātī huī phirtī hai havā-e-sarsar
muntashir merā hī afsāna nazar aatā hai
apnī mahrūmī-e-qismat kā gila hai varna
sham.a ke gird bhī parvāna nazar aatā hai
ek mauhum sa kashana nazar aata hai
ek maghmum sa gham-KHana nazar aata hai
apni manzil hi mujhe khinch rahi hai shayad
ham-safar par mujhe begana nazar aata hai
dekh ai josh-e-junun baadiya-paimai ko
naqsh-e-pa bhi mujhe diwana nazar aata hai
dastan phaili hui hai meri sahraon mein
ham-zaban aaj ye virana nazar aata hai
KHak uDati hui phirti hai hawa-e-sarsar
muntashir mera hi afsana nazar aata hai
apni mahrumi-e-qismat ka gila hai warna
shama ke gird bhi parwana nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.