sar-e-tur
dil ko be-tāb rakhtī hai ik aarzū
kam hai ye vus.at-e-ālam-e-rañg-o-bū
le chalī hai kidhar phir na.ī justujū
tā-ba hadd-e-nazar uḌ ke jaate haiñ ham
vo jo haa.il the rāhoñ meñ shams o qamar
ham-safar un ko apnā banāte haiñ ham
hai zamīñ parda-e-lāla-o-nastaran
āsmāñ parda-e-kahkashāñ hai abhī
rāz-e-fitrat huā laakh ham par ayaañ
rāz-e-fitrat nihāñ kā nihāñ hai abhī
jis kī sadiyoñ udhar ham ne kī ibtidā
nā-tamām apnī vo dāstāñ hai abhī
manzileñ uḌ ga.iiñ ban ke gard-e-safar
rahguzāroñ hī meñ kārvāñ hai abhī
pī ke nākāmiyoñ kī sharāb-e-kuhan
apnā zauq-e-tajassus javāñ hai abhī
haath kaaTe ga.e jur.at-e-shauq par
ḳhūñ-chakāñ ho ke vo gul-fishāñ ho ga.e
hairatoñ ne lagā.ī jo mohr-e-sukūt
lab ḳhamoshī meñ jaadū bayāñ ho ga.e
rāste meñ jo kohsār aa.e to ham
aise taḌpe ki sail-e-ravāñ ho ga.e
haiñ azal se zamīñ ke kure par amiir
ho ke mahdūd ham be-karāñ ho ga.e
zuaq-e-parvāz bhī dil kī ik jast hai
ḳhaak se zīnat-e-āsmāñ ho ga.e
aql-chālāk ne dī hai aa kar ḳhabar
ik shabistāñ hai aivān-e-mahtāb meñ
muntazir haiñ nigārān-e-ātish-badan
jagmagātī fazāoñ kī mehrāb meñ
kitne dilkash hasīñ ḳhvāb bedār haiñ
maah o mirrīḳh kī chashm-e-be-ḳhvāb meñ
khīñch phir zulf-e-māshūq-e-nīl-gūñ
le le shole ko phir dast-e-betāb meñ
muzhda ho mah-jabīnān-e-aflāk ko
bazm-e-gītī kā sāhab nazar aa gayā
tahniyat husn ko be-naqābī kī do
dīda-var aa gayā parda-dār aa gayā
āsmāñ se girā thā jo kal TuuT kar
vo sitāra ba-dosh-e-qamar aa gayā
le ke paimāna-e-dard-e-dil haath meñ
mal ke chehre pe ḳhūn-e-jigar aa gayā
bazm-e-sayyārgān-e-falak-sair meñ
ik hunar-mand sayyāra-gar aa gayā
shauq kī had magar chāñd tak to nahīñ
hai abhī rif.at-e-āsmāñ aur bhī
hai surayyā ke pīchhe surayyā ravāñ
kahkashāñ se pare kahkashāñ aur bhī
jhāñktī haiñ fazāoñ ke pechāk se
rañg aur nuur kī vādiyāñ aur bhī
aur bhī manzileñ, aur bhī mushkileñ
haiñ abhī ishq ke imtihāñ aur bhī
aaj dast-e-junūñ par hai sham-e-ḳhirad
do jahāñ jis ke shole se ma.amūr haiñ
le ke aa.eñ payām-e-tulū-e-sahar
jitne sūraj ḳhalāoñ meñ mastūr haiñ
kah do barq-e-tajallī se ho jalva-gar
aaj muusā nahīñ ham sar-e-tūr haiñ
dil ko be-tab rakhti hai ek aarzu
kam hai ye wusat-e-alam-e-rang-o-bu
le chali hai kidhar phir nai justuju
ta-ba hadd-e-nazar uD ke jate hain hum
wo jo hail the rahon mein shams o qamar
ham-safar un ko apna banate hain hum
hai zamin parda-e-lala-o-nastaran
aasman parda-e-kahkashan hai abhi
raaz-e-fitrat hua lakh hum par ayan
raaz-e-fitrat nihan ka nihan hai abhi
jis ki sadiyon udhar hum ne ki ibtida
na-tamam apni wo dastan hai abhi
manzilen uD gain ban ke gard-e-safar
rahguzaron hi mein karwan hai abhi
pi ke nakaamiyon ki sharab-e-kuhan
apna zauq-e-tajassus jawan hai abhi
hath kaTe gae jurat-e-shauq par
KHun-chakan ho ke wo gul-fishan ho gae
hairaton ne lagai jo mohr-e-sukut
lab KHamoshi mein jadu bayan ho gae
raste mein jo kohsar aae to hum
aise taDpe ki sail-e-rawan ho gae
hain azal se zamin ke kure par amir
ho ke mahdud hum be-karan ho gae
zuaq-e-parwaz bhi dil ki ek jast hai
KHak se zinat-e-asman ho gae
aql-chaalak ne di hai aa kar KHabar
ek shabistan hai aiwan-e-mahtab mein
muntazir hain nigaran-e-atish-badan
jagmagati fazaon ki mehrab mein
kitne dilkash hasin KHwab bedar hain
mah o mirriKH ki chashm-e-be-KHwab mein
khinch phir zulf-e-mashuq-e-nil-gun
le le shole ko phir dast-e-betab mein
muzhda ho mah-jabinan-e-aflak ko
bazm-e-giti ka sahab nazar aa gaya
tahniyat husn ko be-naqabi ki do
dida-war aa gaya parda-dar aa gaya
aasman se gira tha jo kal TuT kar
wo sitara ba-dosh-e-qamar aa gaya
le ke paimana-e-dard-e-dil hath mein
mal ke chehre pe KHun-e-jigar aa gaya
bazm-e-sayyargan-e-falak-sair mein
ek hunar-mand sayyara-gar aa gaya
shauq ki had magar chand tak to nahin
hai abhi rifat-e-asman aur bhi
hai surayya ke pichhe surayya rawan
kahkashan se pare kahkashan aur bhi
jhankti hain fazaon ke pechaak se
rang aur nur ki wadiyan aur bhi
aur bhi manzilen, aur bhi mushkilen
hain abhi ishq ke imtihan aur bhi
aaj dast-e-junun par hai sham-e-KHirad
do jahan jis ke shole se mamur hain
le ke aaen payam-e-tulu-e-sahar
jitne suraj KHalaon mein mastur hain
kah do barq-e-tajalli se ho jalwa-gar
aaj musa nahin hum sar-e-tur hain
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.