sarapa
ek yaad ek chaa.e kā mag aur kuchh raakh
purānī kitāboñ ke chand piile varaq
pītal kī ashtray aur siyāh moTe
frame kā vo chashma
vo kaalā wallett
aur kalā.ī pe bañdhī bharī sunahrī gardī
khaddar kī aadhe bāzuoñ vaalī shirteñ
aur maḳhsūs lambān vaalī surma.ī patlūn
kaale tasmoñ vaale juute aur salīqe
se jamī maañg
sab se farāġhat ke ba.ad kalaf meñ akḌā
safed malmal kā kurtā aur laTThe kī shalvār
allahabadi kaale pumps, cigarette kā kash
aur chaa.e kā ghūñT roz kī vahī raakh
ek yaad ek chae ka mag aur kuchh rakh
purani kitabon ke chand pile waraq
pital ki ashtray aur siyah moTe
frame ka wo chashma
wo kala wallett
aur kalai pe bandhi bhari sunahri gardi
khaddar ki aadhe bazuon wali shirten
aur maKHsus lamban wali surmai patlun
kale tasmon wale jute aur saliqe
se jami mang
sab se faraghat ke baad kalaf mein akDa
safed malmal ka kurta aur laTThe ki shalwar
allahabadi kale pumps, cigarette ka kash
aur chae ka ghunT roz ki wahi rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.