sardi
uf re ye sardī kā mausam
kaañp rahe haiñ dekho to ham
kaisī kaḌāke kī sardī hai
jaise havā meñ barf bharī hai
pahne hue haiñ koī sweater
yā hai gale meñ uunī muflar
koī razā.ī oḌhe baiThā
chādar meñ hai koī lipTā
dastāne aur moze pahne
ghuum rahe haiñ dekho bachche
aag hai aage taap rahe haiñ
kambal meñ lipTe baiThe haiñ
vaah re sardī vaah re sardī
din chhoTe haiñ raat hai lambī
uf re ye sardi ka mausam
kanp rahe hain dekho to hum
kaisi kaDake ki sardi hai
jaise hawa mein barf bhari hai
pahne hue hain koi sweater
ya hai gale mein uni muflar
koi razai oDhe baiTha
chadar mein hai koi lipTa
dastane aur moze pahne
ghum rahe hain dekho bachche
aag hai aage tap rahe hain
kambal mein lipTe baiThe hain
wah re sardi wah re sardi
din chhoTe hain raat hai lambi
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 102)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.