sargoshi
har ek saañs meñ sargoshiyāñ haiñ nauhoñ kī
kisī bhī lab pe koī jāñ-fazā tarāna nahīñ
simaT simaT ga.ī añgḌā.iyoñ kī pahnā.ī
hikāyat-e-ġham-e-daurāñ koī fasāna nahīñ
jo zulm ham pe huā hai ab us kā zikr hī kyā
yahāñ pe ham hī sitam-ḳhurda-e-zamāna nahīñ
shikast-e-sāz-e-mohabbat se sozish-e-ġham se
har ek āriz-e-gulgūñ se shabnam-ālūda
ma.āl-e-ahd-e-vafā hai firāq-e-dīda-o-dil
naqīb-e-daur-e-guzishta hai daur-e-maujūda
har ek sans mein sargoshiyan hain nauhon ki
kisi bhi lab pe koi jaan-faza tarana nahin
simaT simaT gai angDaiyon ki pahnai
hikayat-e-gham-e-dauran koi fasana nahin
jo zulm hum pe hua hai ab us ka zikr hi kya
yahan pe hum hi sitam-KHurda-e-zamana nahin
shikast-e-saz-e-mohabbat se sozish-e-gham se
har ek aariz-e-gulgun se shabnam-aluda
maal-e-ahd-e-wafa hai firaq-e-dida-o-dil
naqib-e-daur-e-guzishta hai daur-e-maujuda
- Book : Rag-e-jan (Pg. 168)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.