hind ke bāñke sipāhī azm ke koh-e-girāñ
zindābād ai faḳhr-e-mashriq nāzish-e-hindostāñ
jaan de kar mol lete haiñ hayāt-e-jāvidāñ
sarfaroshoñ ke liye to naam kī haiñ saḳhtiyāñ
jārhiyyat chiin kī ab ho ga.ī sab par ayaañ
saarī duniyā kah uThī hai dushman-e-amn-o-amāñ
chal ke ab laddaḳh-o-nefā se nikālo chiin ko
ġhasb karnā chāhtā hai sarhad-e-hindostāñ
azm-o-istiqlāl ke jauhar dikhānā haiñ tumheñ
ahd-e-māzī kī zarā dohrā do phir se dāstāñ
sar-ba-kaf maidāñ meñ aao kāmyābī ke liye
baat vaalo aa gayā hai sar pe vaqt-e-imtihāñ
dushmanoñ kī pesh-qadmī aarzī hai dekhnā
jāvedānī kāmyābī pā.egā hindostāñ
chuTkiyāñ lene lage haiñ phuul ke pahlū meñ ḳhaar
ham-nashīñ dushman bane ye vaqt kī nairangiyāñ
qāfile vāloñ ko manzil kā pata mil jā.egā
jabki ai 'takmīl' nehru haiñ amīr-e-kārvāñ
hind ke banke sipahi azm ke koh-e-giran
zindabaad ai faKHr-e-mashriq nazish-e-hindostan
jaan de kar mol lete hain hayat-e-jawidan
sarfaroshon ke liye to nam ki hain saKHtiyan
jarhiyyat chin ki ab ho gai sab par ayan
sari duniya kah uThi hai dushman-e-amn-o-aman
chal ke ab laddaKH-o-nefa se nikalo chin ko
ghasb karna chahta hai sarhad-e-hindostan
azm-o-istiqlal ke jauhar dikhana hain tumhein
ahd-e-mazi ki zara dohra do phir se dastan
sar-ba-kaf maidan mein aao kaamyabi ke liye
baat walo aa gaya hai sar pe waqt-e-imtihan
dushmanon ki pesh-qadmi aarzi hai dekhna
jawedani kaamyabi paega hindostan
chuTkiyan lene lage hain phul ke pahlu mein KHar
ham-nashin dushman bane ye waqt ki nairangiyan
qafile walon ko manzil ka pata mil jaega
jabki ai 'takmil' nehru hain amir-e-karwan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.