sarhaden
ye sarhadeñ.... paḌosaneñ
kabhī hañsī-ḳhushī rahīñ
kabhī zarā sī baat ho to laḌ paḌīñ
na āñganoñ meñ ek saath raqs ho
na baam par hī bāhamī qadam paḌe
galī meñ koī khel ho
na taal ho, na mel ho
kashīdgī ke naam par ghuTan kī rel-pel ho
ye sarhadeñ.... paḌosaneñ
paḌosanoñ se kyā kaheñ
jahāñ meñ ranjishoñ ke sab glacier pighal ga.e
magar yahāñ kudūratoñ kī barf hai jamī huī
havā se kis tarah kaheñ
chale to sirf ek hī taraf chale
ye dhuup bhī to kab kisī ke bas meñ hai
ki parbatoñ ko sarhadoñ meñ baañT de
ye ḳhār-dār dā.ere kahīñ bhī khīñchte chalo
magar kabhī koī sadā bhī ruk sakī
ye ḳhushbuoñ ke qāfile
raheñge har taraf ravāñ
galī meñ aa hī jā.eñgī
mohabbatoñ kī titliyāñ
ye sarhadeñ.... paḌosaneñ
baneñgī phir saheliyāñ....!
ye sarhaden paDosanen
kabhi hansi-KHushi rahin
kabhi zara si baat ho to laD paDin
na aanganon mein ek sath raqs ho
na baam par hi bahami qadam paDe
gali mein koi khel ho
na tal ho, na mel ho
kashidgi ke nam par ghuTan ki rel-pel ho
ye sarhaden paDosanen
paDosanon se kya kahen
jahan mein ranjishon ke sab glacier pighal gae
magar yahan kuduraton ki barf hai jami hui
hawa se kis tarah kahen
chale to sirf ek hi taraf chale
ye dhup bhi to kab kisi ke bas mein hai
ki parbaton ko sarhadon mein banT de
ye KHar-dar daere kahin bhi khinchte chalo
magar kabhi koi sada bhi ruk saki
ye KHushbuon ke qafile
rahenge har taraf rawan
gali mein aa hi jaengi
mohabbaton ki titliyan
ye sarhaden paDosanen
banengi phir saheliyan!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.